| Zindagi khwaab-e-parishaan hai koee kya jaane
maut ki larzish-e-mishgaan hai koee kya jaane
Raamish-o-rang ke aivaan mein lailaa-e-hayaat
sirf aik raat ki mehmaan hai koee kya jaane
Gulshan-e-zeest ke har phool ki rangeeni mein
dajla-e-khoon-e-rag-e-jaan hai koee kya jaane
rang-o-aahang se bajtii huee yaadon ki baraat
rahrav-e-jadaa-e-nisyaan hai koee kya jaane |